Sunday, 22 September 2013

kismat kahu ya meherbani kahu...

Baat kuch nayi kahu ya purani kahu.
.
Aankho ke chupe raj kholu, ya aaj dil ki jubaani kahu.....
.
.

Hasrat to do bund ki thi
Par dariya mil gaya pyas bhujane ko..
.
Isse takdeer kahu meri ya uski mujhpe meherbaani kahu....

Jara rang apna dikha ke to dekho....

Chand se najre mila ke to dekho,,,,,,chandni ko hothon pe laga ke to dekho...
guroor na ho jaye khud pe to batana,,,,,ek bar usse apni ada dikha ke to dekho.....
.
.

wafai bhi kya maane uski chandni ki.. jo jara si dhup me gayab ho jati h.....
chidh jayega wo tere sawaalo se... ek bar usse uski bewafai bata ke to dekho..


.
suraj ki shama pe itraane wala kya jane... kya cheej Roshni hoti h
mana honge uske deewane bahot se...
 par ek bar usse apne samne uski rang dikha ke to dekho..
.
 Sharma jayega wo bhi dekhke rang tere gaalo ka,,,,
jara labo pe apne khushi laake to dekho...

Saturday, 7 September 2013

Sirf Ehsaas kaafi nahi Hota..

Kabhi kabhi rishte nibhana hi bahut nahi hota..
Har pal mojudagi dikhana hi bahut nahi hota..

Kuch vaaden,kuch yaaden jindagi se badi ho jati h.
Varna dil ke dard ko chupana hi bahut nahi hota.
.
Kuch pal aise aate h, waqt k sath tum ko bhi badal jate h..
Har dil dhadakta h kisi na kisi ke liye to
Sirf dhandkan ka ehsaas hi bahot nahi hota.....

Tere Binaa ye Dil na Lage.........

Tere binaaa ye dil na lage,
Na tu jo ho yahaaa, to dil kya kare...
.
.
Subah hote hi aankhen khulte h dhoonde tujhko najar,,
Teri julfon ki chaon se main kab se hu bekhabar....
*chaha sirf tujheee, tu mile na mile..
Manga h bas tujhe.. Lagake gam ko gale...
.
.
Dil ki basti me ghar banaya h usme rehna h tere Saath
Jab Paas aaogi ja na paogi, chudha na paogi haath...
*rakhunga main tujhe lagake seene se,
Lagta h dar hame bin tere jeene me...
.
.
Chehre dikhte h tujhse milte h,, dil h gam se bhara..
Bheegi palko ke aansu ke keh rahe,, Aa bhi ja apsara.....
.
Gamo ke silsile aansu ban kar beh rahe..
Wafai ke mansoobe ibadat kar rahe..
.
.
* girta padta hu fir sambhalta hu, khud ke saaye me kho gaya....
Dekh ke sapna uski yaadon ka haske main so gaya...
Dafnake saari yaaden , tujhe phir na sataunga main
Mitake jasbaat ,tujhe bhula jaunga main. ......

Ek khwab Aya h..

Suna h iss dil ke sune baag me ek gulaab aya h.
Dekha to laga ki ek haseen khwab aaya h..
.
Jee chahta h tod lu usse mehekane mere dil ko uski khushboo se...
Par dard nahi de sakta usse uski jaan se juda karke...
 Itna uspe  hame pyaar aaya h....